اردو हिंदी
Kab panw figar nahin hote kab sar mein dhul nahin hoti | Shaahi Shayari
kab panw figar nahin hote kab sar mein dhul nahin hoti

Ghazal

Kab panw figar nahin hote kab sar mein dhul nahin hoti

Jamal Ehsani

;

kab panw figar nahin hote kab sar mein dhul nahin hoti
teri rah pe chalne walon se lekin kabhi bhul nahin hoti

sar-e-kucha-e-ishq aa pahunche ho lekin zara dhyan rahe ki yahan
koi neki kaam nahin aati koi dua qubul nahin hoti

har-chand andesha-e-jaan hai bahut lekin is kar-e-mohabbat mein
koi pal bekar nahin jata koi baat fuzul nahin hoti

tere wasl ki aas badalte hue tere hijr ki aag mein jalte hue
kab dil masruf nahin rahta kab jaan mashghul nahin hoti

har rang-e-junun bharne walo shab-bedari karne walo
hai ishq wo mazduri jis mein mehnat bhi wasul nahin hoti