kab nishan mera kisi ko shab-e-hasti mein mila
main to jugnu ki tarah apni hi muTThi mein mila
bhag nikla tha jo tufan se chhuDa kar daman
sar-e-sahil wahi Duba hua kashti mein mila
aankh raushan ho to duniya ke andhere kya hain
rasta mahtab ko raaton ki siyahi mein mila
main jalata raha tere liye lamhon ke charagh
tu guzarta hua sadiyon ki sawari mein mila
tu ne mangton ko uchaTti hui nazren bhi na din
hath phailaya na jis ne use jholi mein mila
main ek aansu hi sahi hun bahut anmol magar
yun na palkon se gira kar mujhe miTTi mein mila
mahfilon mein kiya logon ne 'muzaffar' ki talash
wo bhaTakta hua afkar ki wadi mein mila
Ghazal
Kab nishan mera kisi ko shab-e-hasti mein mila
Muzaffar Warsi