اردو हिंदी
Kab mujhe tala-e-na-saz pe rona aaya | Shaahi Shayari
kab mujhe tala-e-na-saz pe rona aaya

Ghazal

Kab mujhe tala-e-na-saz pe rona aaya

Shaghil Qadri

;

kab mujhe tala-e-na-saz pe rona aaya
dil-e-nadan ki tag-o-taz pe rona aaya

us ki pursish pe jo dekha mutabassim mujh ko
raaz-dan ko mere andaz pe rona aaya

aaj sayyaad ko bhi apne giraftaron ki
jaane kyun koshish-e-parwaz pe rona aaya

aa gaya samne anjam taDap uTTha dil
apne afsane ke aaghaz pe rona aaya

munhasir ashk ki do bund pe tha jis ka bharam
mujh ko ai 'qadri' us raaz pe rona aaya