kab miTae se miTa ranj-o-suubat ka asar
hai watan mein bhi mere chehre pe ghurbat ka asar
ho chala ishq-e-majazi pe haqiqat ka asar
aa chala mujh ko nazar kasrat mein wahdat ka asar
sari duniya se nahin mujh se faqat bezar the
aur is se baDh ke kya hota mohabbat ka asar
be-wafa un ka laqab hai ba-wafa mera KHitab
wo hai tinat ki KHarabi ye hai ulfat ka asar
moajiza dekha tasawwur ka to aankhen khul gain
pa raha hun aaj main jalwat mein KHalwat ka asar
wo pari se hur ban jate yaqini baat thi
un ki sirat par agar paD jata surat ka asar
un pe dil hi aa gaya le hi gae wo mera dil
ye taqaza husn ka tha wo shararat ka asar
ek jagah rahta na tha Tik kar ye aadat thi meri
khinch laya KHuld tak ab mujh ko wahshat ka asar
KHair se milte jo bad-KHuni hai chehre se ayan
ye masal sach hai ki ho jata hai sohbat ka asar
aap kya the ho gae kya faiz se ustad ke
dekh lije 'shad' ye hota hai nisbat ka asar
Ghazal
Kab miTae se miTa ranj-o-suubat ka asar
Murli Dhar Shad