اردو हिंदी
Kab lazzaton ne zehan ka pichha nahin kiya | Shaahi Shayari
kab lazzaton ne zehan ka pichha nahin kiya

Ghazal

Kab lazzaton ne zehan ka pichha nahin kiya

Anwar Anjum

;

kab lazzaton ne zehan ka pichha nahin kiya
ye mera hausla tha ki lab wa nahin kiya

tajdid-e-irtibaat bhi mumkin thi baad mein
main ne hi is rawish ko gawara nahin kiya

pahle to ek junun sa arz-e-talab ka tha
jab wo mila to dal ne taqaza nahin kiya

suraj raha jo din mein mere ghar se dur dur
phir main ne raat mein bhi ujala nahin kiya

kya wahm tha ki khilte hi lab band ho gae
kya baat thi ki lafz bhi pura nahin kiya

jab mera ishtiyaq hua zabt-azma
phir us ne apne aap hi parda nahin kiya

main sada-lauh sada-bayan sada-arzu
aur us ne sadgi pe bharosa nahin kiya

main ne bhi chalte chalte kiya tha yunhi sawal
kya ho gaya jo aap ne pura nahin kiya

wo kam-nigah tha magar us se chura ke aankh
main ne bhi apne sath kuchh achchha nahin kiya

amrit samajh ke pi liya 'anjum' ne zahr-e-gham
lekin tumhaare nam ko ruswa nahin kiya