اردو हिंदी
Kab KHamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main | Shaahi Shayari
kab KHamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main

Ghazal

Kab KHamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main

Darshan Singh

;

kab KHamoshi ko mohabbat ki zaban samjha tha main
tha ayan wo raaz-e-dil jis ko nihan samjha tha main

sun raha hun apni KHamoshi ka charcha ku-ba-ku
thi fughan wo bhi jise zabt-e-fughan samjha tha main

aarzi sa aks tha ek iltifat-e-dost ka
jis ko nadani se aish-e-jawedan samjha tha main

tum ne aankhen pher lin mujh se to ye mujh par khula
KHar-zar-e-zindagi ko gulistan samjha tha main

wo bhi nikle barq-o-baad-o-baghban ki milkiyat
chaar tinke jin ko apna aashiyan samjha tha main

kar saken 'darshan' na wo bhi arz-e-haal-e-arzu
jin nigahon ko mohabbat ki zaban samjha tha main