اردو हिंदी
Kab kaun kahan kis liye zanjir-bapa hai | Shaahi Shayari
kab kaun kahan kis liye zanjir-bapa hai

Ghazal

Kab kaun kahan kis liye zanjir-bapa hai

Jaleel u0027Aaliu0027

;

kab kaun kahan kis liye zanjir-bapa hai
ye uqda-e-asrar-e-azal kis pe khula hai

kis bhes koi mauj-e-hawa sath laga le
kis des nikal jae ye dil kis ko pata hai

ek hath ki duri pe hain sab chand sitare
ye arsha-e-jaan kis dam-e-digar ki ata hai

aahang-e-shab-o-roz ke nairang se aage
dil ek gul-e-KHwab ki KHushbu mein basa hai

ye shahr-e-tilismat hai kuchh kah nahin sakte
pahlu mein khaDa shaKHs farishta ki bala hai

har soch hai ek gumbad-e-ehsas mein gardan
aur gumbad-e-ehsas mein dar harf-e-dua hai

ye did to rudad-e-hijabaat hai 'ali'
wo mah-e-mukammal na ghaTa hai na baDha hai