kab kaha main ne mujhe sara zamana chahiye
sirf mujh ko aap ke dil mein Thikana chahiye
aql kahti hai ki us ko bhul jaana chahiye
dil ye kahta hai use apna banana chahiye
jo hamare baad aaen kam se kam bhaTken na wo
ku-e-fan mein ek diya aisa jalana chahiye
ta-had-e-imkan hum ne hi manaya hai tumhein
hum kabhi ruThen to tum ko bhi manana chahiye
apni KHatir chhoDiye auron ki KHatir hi sahi
kam se kam mahfil mein tum ko muskurana chahiye
rah takte takte us ki ek arsa ho gaya
jaane wale ko to ab tak lauT aana chahiye
sona chandi kha ke 'saghar' zinda rah sakte nahin
zinda rahne ke liye to aab-o-dana chahiye
Ghazal
Kab kaha maine mujhe sara zamana chahiye
Imran Saghar