اردو हिंदी
Kab haq-parast zahid-e-jannat-parast hai | Shaahi Shayari
kab haq-parast zahid-e-jannat-parast hai

Ghazal

Kab haq-parast zahid-e-jannat-parast hai

Sheikh Ibrahim Zauq

;

kab haq-parast zahid-e-jannat-parast hai
huron pe mar raha hai ye shahwat-parast hai

dil saf ho to chahiye mani-parast ho
aaina KHak saf hai surat-parast hai

durwesh hai wahi jo riyazat mein chust ho
tarik nahin faqir bhi rahat-parast hai

juz zulf sujhta nahin ai murgh-e-dil tujhe
KHuffash tu nahin hai ki zulmat-parast hai

daulat ki rakh na mar-e-sar-e-ganj se ummid
muzi wo dega kya ki jo daulat-parast hai

anqa ne gum kiya hai nishan nam ke liye
gum-gashta kaun kahta hai shohrat-parast hai

ye 'zauq' mai-parast hai ya hai sanam-parast
kuchh hai bala se lek mohabbat-parast hai