kab gul hai hawa-KHwah saba apne chaman ka
wa jumbish-e-dam se hai rafu zaKHm-e-kuhan ka
betabi-e-dil tere shahidon ki kahan jae
kuchh kam rag-e-bismil se nahin tar kafan ka
deta hai phir aaine ko kis waste bosa
wo aap jo dil-dada nahin apne dahan ka
manind-e-habab aap kiya ishq ne 'mamnun'
paya na nishan jama mein apne kahin tan ka
Ghazal
Kab gul hai hawa-KHwah saba apne chaman ka
Mamnoon Nizamuddin