kab gawara hai mujhe aur kahin par chamke
mera suraj hai to phir meri zamin par chamke
kitne gulshan ki saje the mere iqrar ke nam
kitne KHanjar ki meri ek nahin par chamke
jis ne din bhar ki tamazat ko sameTa chup-chap
shab ko tare bhi usi dasht-nashin par chamke
ye teri bazm ye ek silsila-e-nikhat-o-nur
jitne tarik muqaddar the yahin par chamke
yun bhi ho wasl ka suraj kabhi ubhre aur phir
sham-e-hijran tere ek ek makin par chamke
aankh ki zid hai ki palkon pe sitare TuTen
dil ki KHwahish ki har ek zaKHm yahin par chamke
Ghazal
Kab gawara hai mujhe aur kahin par chamke
Shahbaz Khwaja