kab ghair hua mahw teri jalwagari ka
tu puchh mere dil se maza be-KHabari ka
sauda jo gul-o-lala ko hai jeb-dari ka
adna ye shagufa hai nasim-e-sahari ka
kis ne lab-e-baam aa ke dikhaya ruKH-e-raushan
KHurshid mein hai rang charagh-e-sahari ka
apni ye ghazal hai ki paristan-e-suKHan hai
parwaz-e-mazamin mein hai andaz pari ka
kuchh kam nahin nazuk mere mazmun-e-kamar se
shohra hai baja yar ki nazuk-kamari ka
ek raat bhi ai mah na jagi meri qismat
sunta tha bahut shor dua-e-sahari ka
jis ne mujhe aagah kiya haal-e-jahan se
kya lutf jamadat ko hai be-KHabari ka
ghurbat mein mila lutf kahin baDh ke watan se
hasil jo hua tujh se maza ham-safari ka
us mah ki mahfil mein jo hai qahqaha-zan aaj
hota hai bat-e-mai pe guman kabk-e-dari ka
quran kahe deta hai ki hum haq ki zaban hain
hota hai juda taur kalam-e-bashri ka
aadam ki to man bhi na thi ai munkir-e-eajaz
isa ko mila sirf sharaf be-pidri ka
sarw-e-qad-e-dilbar ki jo taswir hai dil par
ham-sang nahin lal-e-aqiq-e-shajari ka
aankhen hain hasinon ki tere sabza-e-ruKH par
kyunki na ho mailan ghazalon ko chari ka
chal tu bhi 'asar' le ke mata-e-dil-e-betab
wo dekhne jate hain tamasha guzari ka
Ghazal
Kab ghair hua mahw teri jalwagari ka
Imdad Imam Asar