kab ek rang mein duniya ka haal Thahra hai
KHushi ruki hai na koi malal Thahra hai
taDap rahe hain paDe roz o shab mein uljhe log
nafas nafas koi pechida jal Thahra hai
KHud apni fikr ugati hai wahm ke kanTe
ulajh ulajh ke mera har sawal Thahra hai
bas ek khanDar mere andar jiye hi jata hai
ajib haal hai mazi mein haal Thahra hai
kabhi nahin tha na ab hai KHayal-e-sud-o-ziyan
wahi to hoga jo apna maal Thahra hai
us ek baat ko guzre zamana bit gaya
magar dilon mein abhi tak malal Thahra hai
junun ke sae mein ab ghar bana liya dil ne
chalo kahin to wo aawara-haal Thahra hai
baDe kamal ka nikla wo aadmi 'bilqis'
ki be-hunar hai magar ba-kamal Thahra hai
Ghazal
Kab ek rang mein duniya ka haal Thahra hai
Bilqis Zafirul Hasan