kab dil shikast-gan se kar arz-e-haal aaya
hai be-sada wo chini jis mein ki baal aaya
sine se main dua ko laya jo shab labon tak
kahne lagi ijabat kidhar KHayal aaya
kaunain tak mili thi jis dil ki mujh ko qimat
qismat ki yak nigah par ja us ko Dal aaya
baKHshish pe do jahan ke aai thi himmat-e-dahr
lekin na yan zaban tak harf-e-sawal aaya
nazan na ho tu is par gar tujh ko sang mein se
gauhar nikalne ka kasb o kamal aaya
arbab-e-fahm aage wo sahab-e-hunar hai
kina kisi ke dil se jis ko nikal aaya
dair-e-KHarab mein kal ek mast ki zaban par
ye sher us jagah ke kya hasb-e-haal aaya
aamal dekh tere mai sharm se araq hai
ai mohtasib tujhe bhi kuchh infial aaya
milne ka ek dam bhi yan zoaf-e-dil hai mane
ukta ke uTh gaya wo tab main bahaal aaya
naKHl-e-hayat apna gulshan mein baghban ne
boya to tha hawas kar lekin na pal aaya
iksir hai to kya hai wo musht-e-KHak 'sauda'
KHatir pe jab kisi ki jis se malal aaya

Ghazal
Kab dil shikast-gan se kar arz-e-haal aaya
Sauda Mohammad Rafi