kab dil ke aaine mein wo manzar nahin raha
aankhon ke samne jo ki pal bhar nahin raha
pairon tale zamin nahin thi to ji liye
lekin ab aasman bhi sar par nahin raha
tere KHayal mein kabhi is tarah kho gae
tera KHayal bhi hamein akasr nahin raha
wo qaht-e-sang hai sar-e-sahil ki al-aman
pani mein phenkne ko bhi patthar nahin raha
aagah kya hue hain sarabon se hum 'jamal'
sath-e-zamin pe koi samundar nahin raha
Ghazal
Kab dil ke aaine mein wo manzar nahin raha
Jamal Ehsani