kab chala jata hai 'shahpar' koi aa ke samne
sui ka girna bhi kya aawaz-e-pa ke samne
roz be-maqsad KHushamad qatl karti hai use
roz mar jata hai wo apni ana ke samne
karb ki masmum lahren tez tar hone lagin
rakh diya kis ne charagh-e-dil hawa ke samne
qalb ki gahraiyon mein sirf tera aks hai
dekh le kya kah raha hun main KHuda ke samne
roz koi aas bhar jati hai in mein rang-e-yas
roz rakh leta hun main KHake bana ke samne
dusron ke zaKHm bun kar oDhna aasan nahin
sab qabaen hech hain meri rida ke samne
Ghazal
Kab chala jata hai shahpar koi aa ke samne
Shehpar Rasool