اردو हिंदी
Kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin | Shaahi Shayari
kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin

Ghazal

Kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin

Badiuzzama Khawar

;

kab bayaban rah mein aaya ye samjha hi nahin
chalte rahne ke siwa dhyan aur kuchh tha hi nahin

karb-e-manzil ka ho kya ehsas in ashjar ko
jin ke sae mein musafir koi Thahra hi nahin

kis ko batlate ki aae hain kahan se kaun hain
hum faqiron ka kisi ne haal puchha hi nahin

kya talab karta kisi se zindagi ka KHun-baha
mujrmon mein mera qatil koi nikla hi nahin

be-tahasha pyar ki daulat luTai umr bhar
dosti ka hum ne kuchh anjam socha hi nahin

ghumta paya gaya tha shahr mein wo ek din
phir kisi ne tere diwane ko dekha hi nahin

dosto 'KHawar' sunae kya tumhein taza ghazal
muddaton se us ne koi sher likkha hi nahin