kab ashk-e-shab-e-hijr samundar na hua tha
han qatra-e-naisan abhi gauhar na hua tha
pur-nur hua KHana-e-dil un ke qadam se
is se kabhi pahle ye munawwar na hua tha
zulfen to sanwarti hi rahin barha lekin
aaina kabhi ruKH ke barabar na hua tha
ham-zad ki surat rahi ta-umr asiri
us se jo raha hona muqaddar na hua tha
milna tha na milta hai sukun dahr mein mujh ko
hasil wo hua ab jo mayassar na hua tha
milti hi kahan chhanw mujhe wadi-e-gham mein
saya bhi mera qad ke barabar na hua tha
dawa-e-suKHan karna to ek baat hai 'mahir'
ab tak koi shair tera ham-sar na hua tha
Ghazal
Kab ashk-e-shab-e-hijr samundar na hua tha
Mahir Aarwi