kab apni KHushi se wo aae hue hain
mere jazb-e-dil ke bulae hue hain
kaji par jo aflak aae hue hain
un aankhon ke shayad sikhae hue hain
kabhi to shahidon ki qabron pe aao
ye sab ghar tumhaare basae hue hain
kiya hai jo kuchh zikr mujh dil-jale ka
pasine mein bilkul nahae hue hain
zara phul se panw maile na honge
tum aao hum aankhen bichhae hue hain
kahin KHak bhi ab na baiThegi apni
ki un ki gali se uThae hue hain
girega zamin pe na KHun-e-shahidan
abas aap daman uThae hue hain
faqat pas hai un ke tir-e-nigah ka
jo sine se dil ko lagae hue hain
janaza mera dosto kal uThana
ki wo aaj mehndi lagae hue hain
unhen pas hai dil hamara muqarrar
wahi hum se aankhen churae hue hain
jo hai ghar ke andar wahi ghar ke bahar
wo aankhon mein dil mein samae hue hain
mere baad jaane ke utrenge kyun-kar
ye kapDe jo mere pinhae hue hain
na ho sabza-rangon mein kyun un ki shohrat
mere qatl par zahr khae hue hain
mere KHat ke purze uDae unhon ne
kisi ke sikhae paDhae hue hain
KHuda zulf se dil jigar ko bachae
baDe pech mein donon aae hue hain
taDap kar shab-e-hijr mein kyun na roun
chamakti hi barq abr aae hue hain
'tashshuq' wo jo chahen baaten sunaen
sar-e-ijz hum to jhukae hue hain
Ghazal
Kab apni KHushi se wo aae hue hain
Taashshuq Lakhnavi