اردو हिंदी
Kab apne hone ka izhaar karne aati hai | Shaahi Shayari
kab apne hone ka izhaar karne aati hai

Ghazal

Kab apne hone ka izhaar karne aati hai

Kashif Majeed

;

kab apne hone ka izhaar karne aati hai
ye aag mujh ko numudar karne aati hai

main din mein KHwab banata hun rang rang ke KHwab
magar ye raat unhen mismar karne aati hai

andhera jata hai jab bhi ulaT-palaT ke mujhe
to raushni mujhe hamwar karne aati hai

hawa-e-kucha-e-duniya main jaanta hun tujhe
tu jab bhi aati hai bimar karne aati hai

jo dil se hoti hui aa rahi hai meri taraf
ye lahr mujh ko KHabar-dar karne aati hai