اردو हिंदी
Kab ahl-e-ishq tumhaare the is qadar gustaKH | Shaahi Shayari
kab ahl-e-ishq tumhaare the is qadar gustaKH

Ghazal

Kab ahl-e-ishq tumhaare the is qadar gustaKH

Nooh Narvi

;

kab ahl-e-ishq tumhaare the is qadar gustaKH
unhen tumhin ne kiya chheD chheD kar gustaKH

baham ye jama hue KHub idhar udhar gustaKH
ki dil bhi mera hai teri bhi hai nazar gustaKH

hamein mila bhi to mashuq kis tarah ka mila
jafa pasand bad-aKHlaq fitna-gar gustaKH

hum apne dil se mohabbat mein be-KHabar na rahen
ki hai bahut kisi gustaKH ki nazar gustaKH

kisi ne mujh ko rulaya koi hansa mujh par
jo tu hua to hua tera ghar ka ghar gustaKH

kaha tha main ne ki dil ko sazaen aap na den
ye pesh-tar se hua aur beshtar gustaKH

adab se kaam wo lete nahin sar-e-mahfil
yun hi ho aur koi dusra agar gustaKH

hum aur zikr-e-mohabbat dil aur shikwa-e-gham
KHamoshiyon ne tumhaari kiya magar gustaKH

mujhe jawab ye qabl-az-sawal dene laga
ab is se hoga siwa kya payambar gustaKH

dil-o-nazar ko lihaz-o-haya se kya matlab
ye be-adab hai sarasar wo sar-ba-sar gustaKH

kabhi kabhi jo teri sharm-gin nigah mile
to main banaun use chheD chheD kar gustaKH

ye tajarbe ne bataya ye aadaton se khula
wo jis qadar hai mohazzab usi qadar gustaKH

kahin tumhein bhi Dubo de na bahr-e-ulfat mein
bahut hai nuh ka tufan-e-chashm-e-tar gustaKH