kaTunga shab taDap kar ro kar sahar karunga
furqat mein teri jaanan yun hi basar karunga
kahta hai ishq-e-dilbar furqat mein ho na muztar
dil mein guzar karunga aankhon mein ghar karunga
aata nahin wo dilbar kahta hai roz mujh se
aane ki apne tujh ko pahle KHabar karunga
tum ja rahe ho jao ai but mera KHuda hai
sine ko ranj-e-furqat patthar jigar karunga
qatron mein chashm-e-tar ke taswir-e-dil-ruba hai
hasrat se kyun na us ki jaanib nazar karunga
aashiq ka qafila ab jata hai un ke dar par
bang-e-jaras banunga nalon ko sar karunga
turbat ko dekh kar main kahta hun ai 'jamila'
ai gor main bhi tera aabaad ghar karunga
Ghazal
KaTunga shab taDap kar ro kar sahar karunga
Jameela Khuda Bakhsh