katib-e-taqdir mere haq mein kuchh tahrir ho
ranj ho ya shadmani kuchh to daman-gir ho
aab-rud-e-zist ke kuchh ghunT zahrile bhi hon
main ne kab chaha tha har qatra mujhe iksir ho
ahd-e-azadi se behtar qaid-e-zindan ho to phir
toD dene ki qafas ko kyun koi tadbir ho
tez lahren aa hi jati hain miTane ke liye
jab lab-e-sahil gharaunda ret ka tamir ho
gham rahe pinhan dar o diwar dil ke darmiyan
kya zaruri hai ki karb-e-zist ki tashhir ho
Ghazal
Katib-e-taqdir mere haq mein kuchh tahrir ho
Raghib Akhtar