اردو हिंदी
Katata hun raat-bhar apne lahu ki dhaar ko | Shaahi Shayari
katata hun raat-bhar apne lahu ki dhaar ko

Ghazal

Katata hun raat-bhar apne lahu ki dhaar ko

Zulfiqar Ahmad Tabish

;

katata hun raat-bhar apne lahu ki dhaar ko
khinchta hun is tarah inkar se iqrar ko

be-qarari kuchh to ho wajh-e-tasalli ke liye
bhinch kar rakhta hun sine se firaq-e-yar ko

apni gustaKHi pe nadim hun magar kya KHub hai
dhup ki diwar par likhna shabih-e-yar ko

aise kaTta hai jigar aise lahu hota hai dil
kaise kaise aazmata hun nafas ki dhaar ko

nachta hai mere nabzon mein KHarosh-e-KHun ke sath
dhaDkanen ginti hain us ke panw ki raftar ko

reza reza chun raha hun jism-o-jaan ki saaten
Dha raha hai koi meri umr ki diwar ko

ek saat ki judai bhi nahin mujh ko qubul
sath rakhta hun sada yaad-e-firaq-e-yar ko