اردو हिंदी
KaT raha hun ek ik din aazar ke sath | Shaahi Shayari
kaT raha hun ek ik din aazar ke sath

Ghazal

KaT raha hun ek ik din aazar ke sath

Khaqan Khavar

;

kaT raha hun ek ek din aazar ke sath
jaise raat guzarti hai bimar ke sath

shohrat tanha tai karti hai raste ko
uD kar phul nahin jata mahkar ke sath

hijr ka mausam le kar suraj nikla hai
barf lipaT kar roti hai kohsar ke sath

ghar ki har shai teri yaad dilati hai
dhyan mein chiDiya aa jae chahkar ke sath

ek hi jhonka bikhra dega patton ko
kab tak mil kar baiThenge diwar ke sath

waqt ne likh kar kaT diye hain un ke nam
jin ka sikka chalta tha talwar ke sath

'KHawar' kya kya shaklen banti rahti hain
tanhai mein yaadon ki parkar ke sath