kaT kar jo rah ka buDha shajar le jaega
sath apne dhup ka lamba safar le jaega
ek sahra be yaqini ka hai ta-hadd-e-nazar
qafila-salar dekhen ab kidhar le jaega
apne apne hi gharon ki fikr gar karte rahe
dekhna tufan ye sara nagar le jaega
be-gharon ki fikr karne ki zarurat hi nahin
ek din koi farishta un ko ghar le jaega
kauDiyon ke mol bik jaega KHud us ka wajud
koi jab bazar mein apna hunar le jaega
jis ke dil mein koi KHwahish koi arman hi nahin
sath apne be-baha zad-e-safar le jaega
ye khulega mujh pe aaKHir meri manzil hai kahan
jab junun 'tasir' mujh ko dar-ba-dar le jaega
Ghazal
KaT kar jo rah ka buDha shajar le jaega
sharmaa Taseer