اردو हिंदी
KaT gai kohre ki chadar sard hawa ki tezi map | Shaahi Shayari
kaT gai kohre ki chadar sard hawa ki tezi map

Ghazal

KaT gai kohre ki chadar sard hawa ki tezi map

Ahsan Shafiq

;

kaT gai kohre ki chadar sard hawa ki tezi map
ukDun baiTha is wadi ki tanhai mein thar-thar kanp

marmar ki unchai chaDhte phisla hai to rona kya
panw pasare kichaD mein ukhDi sanson ki mala jap

uDte panchhi pyasi nazron ki pahchan se aari hain
tez hui jati hain kirnen thap saheli gobar thap

phuTi chuDi TuTi dhanak rangon ka sehr bikharta sa
sune ufuq par bahte baadal garm tawe se uThti bhap

banson ke jangal ki chilman husn jhalakta manzil ka
baDhte hue qadmon ki tak mein sukhe hue patton par sanp

garm-e-safar hai garm-e-safar rah muD muD kar mat pichhe dekh
ek do manzil sath chalegi paTke hue qadmon ki chap

jhum rahi hai bhanwar mein kashti sahil-o-tufan raqs mein hain
thaki hui aankhen so jaen aisa koi rag alap

dekh phaphund lagi diwaren majlis bhi ban sakti hain
tufani mausam hai 'shafiq' ab aur kahin ka rasta nap