kash uThen hum bhi gunahgaron ke bich
hon jo rahmat ke saza-waron ke bich
ji sada un abruon hi mein raha
ki basar hum umr talwaron ke bich
chashm ho to aaina-KHana hai dahr
munh nazar aata hai diwaron ke bich
hain anasir ki ye surat baziyan
shobade kya kya hain un chaaron ke bich
jab se le nikla hai tu ye jins-e-husn
paD gai hai dhum bazaron ke bich
aashiqi o bekasi o raftagi
ji raha kab aise aazaron ke bich
jo sarishk us mah bin jhamke hai shab
wo chamak kahe ko hai taron ke bich
us ke aatishnak ruKHsaron baghair
loTiye yun kab tak angaron ke bich
baiThna ghairon mein kab hai nang-e-yar
phul gul hote hi hain KHaron ke bich
yaro mat us ka fareb-e-mehr khao
'mir' bhi the us ke hi yaron ke bich
Ghazal
Kash uThen hum bhi gunahgaron ke bich
Mir Taqi Mir