kash us but ko bhi hum waqf-e-tamanna dekhen
barf ki sil se nikalta hua shoala dekhen
jin ko manzil-talabi mein ho talash-e-rahbar
rahnumai ko mere naqsh-e-kaf-e-pa dekhen
panw ki rondi hui KHak hai apne sar par
hum ne chaha tha ki aalam tah-o-baala dekhen
narm aur garam-nigahi pe nahin apni nazar
tere hote tera andaz-e-nazar kya dekhen
apna gham bhi gham-e-duniya ke barabar hai 'uruj'
apna gham bhul saken to gham-e-duniya dekhen

Ghazal
Kash us but ko bhi hum waqf-e-tamanna dekhen
Urooj Zaidi Badayuni