kash tufan mein safine ko utara hota
Dub jata bhi to maujon ne ubhaara hota
hum to sahil ka tasawwur bhi miTa sakte the
lab-e-sahil se jo halka sa ishaara hota
tum hi waqif na the aadab-e-jafa se warna
hum ne har zulm ko hans hans ke sahaara hota
gham to KHair apna muqaddar hai so is ka kya gham
zahr bhi hum ko ba-sad-shauq gawara hota
baghban teri inayat ka bharam kyun khulta
ek bhi phul jo gulshan mein hamara hota
tum pe asrar-e-fana raaz-e-baqa khul jate
tum ne ek bar to yazdan ko pukara hota
Ghazal
Kash tufan mein safine ko utara hota
Parveen Fana Syed

