kash mere Dubne ka wo bhi manzar dekhta
lekin is ko kya paDi thi kyun palaT kar dekhta
dushmanon se KHauf khata umr bhar main bhi agar
doston ki aastinon mein na KHanjar dekhta
shahr se nikle hain hum kis jurm ki padash mein
ye to us ko dekhna tha wo sitamgar dekhta
main tha shahin sab ki nazren thin meri parwaz par
kaun ab aa kar mere TuTe hue par dekhta
mai-kashi ka hum pe gar ilzam hai to ho 'asir'
koi aise zindagi bhar zahr pi kar dekhta

Ghazal
Kash mere Dubne ka wo bhi manzar dekhta
Ram Nath Aseer