kash maqbul ho dua-e-adu
kya karun wo bhi mustajab nahin
ab to us chashm-e-tar ka charcha hai
zikr-e-dariya nahin sahab nahin
jama tufan-o-chashm-e-tar masraf
ab masarif ka kuchh hisab nahin
dho diya sab ko dida-e-tar ne
wo nahin dars wo kitab nahin
ishq-bazi ka munh chiDana hai
aur wo mausam nahin shabab nahin
teri aankhon ke daur mein kya kya
sehr ruswa nahin KHarab nahin
muKHtasar haal-e-chashm-o-dil ye hai
us ko aaram us ko KHwab nahin
jo sarapa-e-yar 'azurda'
tere diwan ka intiKHab nahin
Ghazal
Kash maqbul ho dua-e-adu
Mufti Sadruddin Aazurda