اردو हिंदी
Kash main tujh sa bewafa hota | Shaahi Shayari
kash main tujh sa bewafa hota

Ghazal

Kash main tujh sa bewafa hota

Aatish Indori

;

kash main tujh sa bewafa hota
phir mujhe tujh se kya gila hota

ishq hota hai kya pata hota
gar parindon se wasta hota

bol ke mujh se gar juda hota
milne-julne ka silsila hota

yun ho ki ghar banaen diwaren
raat hote hi ghar gaya hota

bewafai ka surKH rang bhi hai
ishq mein warna kya maza hota

KHud pe gar iKHtiyar hota to
dur main tujh se ja chuka hota

hisse mein aata sirf amiron ke
ishq paison mein gar bika hota