kash main bhi kabhi yaron ka kaha man sakun
aankh ke jism pe KHwabon ki rida tan sakun
main samundar hun na tu mera shanawar pyare
tu bayaban hai na main KHak teri chhan sakun
ru-e-dilbar bhi wahi chehra-e-qatil bhi wahi
tu kabhi aankh milae to main pahchan sakun
waqt ye aur hai mujh mein ye kahan tab ki main
yariyan jhel sakun dushmaniyan Than sakun
jab sitam hai ye taaruf hi to kaisa ho agar
main use jaanne walon ki tarah jaan sakun
Ghazal
Kash main bhi kabhi yaron ka kaha man sakun
Irfan Siddiqi