اردو हिंदी
Kash aisi bhi koi saat ho | Shaahi Shayari
kash aisi bhi koi saat ho

Ghazal

Kash aisi bhi koi saat ho

Syeda Nafis Bano shama

;

kash aisi bhi koi saat ho
ru-ba-ru aap hi ki surat ho

sochti hun to dil dhaDakta hai
tum mere jism ki hararat ho

kitne sajdon ka qarz hai mujh par
sar jhuka lun agar ijazat ho

nind aankhon mein is liye aai
un ke aane ki kab bashaarat ho

mujh ko bheja gaya hai ye kah kar
tum mere ishq ki amanat ho

hum bhi kar len namaz ki niyyat
husn wale teri imamat ho

tark duniya karungi jab main bhi
samne mere jam-e-wahdat ho

hijr ki shab mein wasl ka lamha
ab to har din yahi karamat ho

yun pighalne se kuchh nahin hasil
'shama' jalna teri mohabbat ho