karzar-e-zindagi mein aise lamhe aa gae
azm-e-mohkam rakhne wale waqt se ghabra gae
dusron ke waste jite rahe marte rahe
KHub-sirat log the raaz-e-mohabbat pa gae
bagh par bijli gire ya nazr-e-gulchin ho rahe
aah ab sochon ke dhaare is nahaj par aa gae
is jhulasti dhup ne aaKHir kahan pahuncha diya
chhanw ki KHatir pas-e-diwar-e-zindan aa gae
wae mahrumi ki bas hum aasman takte rahe
yun to baadal ghir ke aae hasraten barsa gae
dil ki shadabi ki KHatir dil ki taskin ke liye
'rizwi'-e-muztar kabhi makka kabhi mathura gae
Ghazal
Karzar-e-zindagi mein aise lamhe aa gae
Hayat Rizvi Amrohvi