اردو हिंदी
Karwan sust rahbar KHamosh | Shaahi Shayari
karwan sust rahbar KHamosh

Ghazal

Karwan sust rahbar KHamosh

Nasir Kazmi

;

karwan sust rahbar KHamosh
kaise guzrega ye safar KHamosh

tujhe kahna hai kuchh magar KHamosh
dekh aur dekh kar guzar KHamosh

yun tere raste mein baiTha hun
jaise ek sham-e-rahguzar KHamosh

tu jahan ek bar aaya tha
ek muddat se hai wo ghar KHamosh

us gali ke guzarne walon ko
takte rahte hain baam-o-dar KHamosh

uTh gae kaise kaise pyare log
ho gae kaise kaise ghar KHamosh

ye zamin kis ke intizar mein hai
kya KHabar kyun hai ye nagar KHamosh

shahr sota hai raat jati hai
koi tufan hai parda-dar KHamosh

ab ke beDa guzar gaya to kya
hain abhi kitne hi bhanwar KHamosh

chaDhte dariya ka Dar nahin yaro
main hun sahil ko dekh kar KHamosh

abhi wo qafile nahin aae
abhi baiThen na ham-safar KHamosh

har-nafas ek payam tha 'nasir'
hum hi baiThe rahe magar KHamosh