karwan se kuchh is tarah bichhDe 
ab kahin karwan nahin milta 
dard meraj ko pahunchta hai 
jab koi tarjuman nahin milta 
rahbaron ki hui wo arzai 
rah-rawon ka nishan nahin milta 
be-zaban ho gae zaban wale 
ab koi ham-zaban nahin milta 
'arsh' kis se kahun main dil ka raaz 
raaz hai raaz-dan nahin milta
        Ghazal
Karwan se kuchh is tarah bichhDe
Arsh Malsiyani

