اردو हिंदी
Karwan luT gaya rahbar chhuT gaya raat tarik hai gham ka yara nahin | Shaahi Shayari
karwan luT gaya rahbar chhuT gaya raat tarik hai gham ka yara nahin

Ghazal

Karwan luT gaya rahbar chhuT gaya raat tarik hai gham ka yara nahin

Saba Afghani

;

karwan luT gaya rahbar chhuT gaya raat tarik hai gham ka yara nahin
rah mein bhi koi shama jalti nahin aasman par bhi koi sitara nahin

ye bahaar-o-KHizan ye KHushi aur gham ye hasin naznin dil ke patthar sanam
sab sahaare hain bas chaar din ke liye zindagi-bhar ka koi sahaara nahin

meri ghairat meri aan ka imtihan teri sazish pe bhaari hai ai baghban
jaan de dun abhi ye to manzur hai gulistan chhoD dun ye gawara nahin

ghaT gai ya to zauq-e-safar ki lagan baDh gai ya nai laghzishon se thakan
koi to baat hai jo sar-e-rah-guzar aaj manzil ne hum ko pukara nahin

tum ho muKHtar ye dil ki aawaz hai aaKHir is baat mein kaun sa raaz hai
jis ko nisbat tumhaare hi dar se rahi wo muqaddar bhi tum ne sanwara nahin

is se baDh kar koi aur kaise jiye umr-bhar hum ne ek bewafa ke liye
kaun si raat aankhon mein kaTi nahin kaun sa din taDap kar guzara nahin

ras aae jise us ko aasan hai ishq ki warna har mauj tufan hai
ai 'saba' ek dariya hai ye aag ka wo bhi aisa ki jis ka kinara nahin