karobar-e-shauq mein bas faeda itna hua
tujh se milna tha ki main kuchh aur bhi tanha hua
koi palkon se utarti raat ko roke zara
sham ki dahliz par ek saya hai sahma hua
munjamid hoti chali jati hain aawazen tamam
ek sannaTa hai sare shahar mein phaila hua
aasmanon par likhi tahrir dhundli ho gai
ab koi masraf nahin aankhon ka ye achchha hua
is hatheli mein bahut si dastaken ru-posh hain
us gali ke moD par ek ghar tha kal tak kya hua
Ghazal
Karobar-e-shauq mein bas faeda itna hua
Shahryar