karobar-e-ishq ki kasrat kabhi aisi na thi
dil na tha to tangi-e-fursat kabhi aisi na thi
yas se virani-e-hasrat kabhi aisi na thi
dil mein sannaTa na tha wahshat kabhi aisi na thi
un ke wade par hamein jina paDa hai hashr tak
warna tulani shab-e-furqat kabhi aisi na thi
dekh Dale zindagi mein wasl-o-furqat ke tilism
gham kabhi aisa na tha rahat kabhi aisi na thi
aap ne bimar-pursi ki to jina hai wabaal
warna marne ki mujhe hasrat kabhi aisi na thi
ba-maza hai kis qadar inkar un ka wasl mein
tujh mein ai KHun-e-jigar lazzat kabhi aisi na thi
dil ko kya samjha diya naumidi-e-jawed ne
parda-dar-e-gham shab-e-furqat kabhi aisi na thi
zindagi ki kashmakash se mar ke pai kuchh najat
is se pahle ai 'nazar' fursat kabhi aisi na thi
Ghazal
Karobar-e-ishq ki kasrat kabhi aisi na thi
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi