اردو हिंदी
Kar-zar-e-dahr mein kya nusrat-o-gham dekhna | Shaahi Shayari
kar-zar-e-dahr mein kya nusrat-o-gham dekhna

Ghazal

Kar-zar-e-dahr mein kya nusrat-o-gham dekhna

Qamar Siddiqi

;

kar-zar-e-dahr mein kya nusrat-o-gham dekhna
ek bas apna alam aur apna parcham dekhna

is tilism-e-asr-e-hazir se jab aankhen jal uThin
dur jalta ek charagh-e-ism-e-azam dekhna

muntazir hain raston par hadse chalte hue
khol rakhna apni aankhen aur kam kam dekhna

chand tare aur jugnu aur mera rang-e-hunar
yani us ko yaad karna us ko paiham dekhna

hijr ki pur-soz raaten kis tarah aabaad hon
shad hun shadab hun ai mere hamdam dekhna