اردو हिंदी
Kar-gah-e-duniya ki nesti bhi hasti hai | Shaahi Shayari
kar-gah-e-duniya ki nesti bhi hasti hai

Ghazal

Kar-gah-e-duniya ki nesti bhi hasti hai

Yagana Changezi

;

kar-gah-e-duniya ki nesti bhi hasti hai
ek taraf ujaDti hai ek samt basti hai

be-dilon ki hasti kya jite hain na marte hain
KHwab hai na bedari hosh hai na masti hai

kya bataun kya hun main qudrat-e-KHuda hun main
meri KHud-parasti bhi ain haq-parasti hai

kimiya-e-dil kya hai KHak hai magar kaisi
lijiye to mahngi hai bechiye to sasti hai

KHizr-e-manzil apna hun apni rah chalta hun
mere haal par duniya kya samajh ke hansti hai

kya kahun safar apna KHatm kyun nahin hota
fikr ki bulandi ya hausle ki pasti hai

husn-e-be-tamasha ki dhum kya muamma hai
kan bhi hain na-mahram aankh bhi tarasti hai

chitwanon se milta hai kuchh suragh baatin ka
chaal se to kafir par sadgi barasti hai

tark-e-lazzat-e-duniya kijiye to kis dil se
zauq-e-parsai kya faiz-e-tang-dasti hai

didani hai 'yas' apne ranj o gham ki tughyani
jhum jhum kar kya kya ye ghaTa barasti hai