kar-e-mushkil hi kiya duniya mein gar main ne kiya
par na us be-rahm ke dil mein guzar main ne kiya
dil mein laila-e-tamanna panw chhalni tez dhup
kis qayamat ka safar tha jo safar main ne kiya
tera apna rasta tha mera apna rasta
is pe bhi ai zindagi tujh ko basar main ne kiya
muskura kar us ne jab bahen gale mein Dal din
phir jo us se ranj tha sarf-e-nazar main ne kiya
zinda the dushman to mujh ko bazuon pe naz tha
aankh ko un ke guzar jaane pe tar main ne kiya
chashm-e-kam se dekhta tha mujh ko aaKHir ek din
us ke zoam-e-KHam ko zer-o-zabar main ne kiya
harf us ke qamat-e-tahsin pe sajte hi gae
'shahid' un ko is tarah harf-e-hunar main ne kiya
Ghazal
Kar-e-mushkil hi kiya duniya mein gar maine kiya
Siddiq Shahid