kar-e-junun ki haalaten, kar-e-KHuda KHayal kar
ishq ka main jawab hun, aur koi sawal kar
itna to man rakh mira, hijr ka dard chakh zara
mujh ko tera malal hai, tu bhi mera malal kar
waqt ke inhidam mein, dil ki kitab dab gai
jaane kahan likha tha tu, sochta hun nikal kar
KHwab mein KHwab gholna, mahnga paDa hai dosto
KHwab tamam ho gaya, aankhen meri nikal kar
lauh-o-qalam ke farz par, mera ye ishq qarz hai
us ne to meri KHak bhi, rakhi nahin sambhaal kar
Ghazal
Kar-e-junun ki haalaten, kar-e-KHuda KHayal kar
Rana Amir Liyaqat

