اردو हिंदी
Kar-e-duniya se gae dida-e-bedar ke sath | Shaahi Shayari
kar-e-duniya se gae dida-e-bedar ke sath

Ghazal

Kar-e-duniya se gae dida-e-bedar ke sath

Asif Shafi

;

kar-e-duniya se gae dida-e-bedar ke sath
rabt lazim tha magar nargis-e-bimar ke sath

qimat-e-shauq baDhi ek hi inkar ke sath
waqia kuchh to hua chashm-e-KHaridar ke sath

har koi jaan bachane ke liye dauD paDa
kaun tha aaKHir-e-dam qafila-salar ke sath

main tere KHwab se aage bhi nikal sakta hun
dekh mujh ko na parakh waqt ki raftar ke sath

zulm se hath uThana nahin aata hai agar
kuchh riayat hi karo apne giraftar ke sath

qimat-e-husn-o-ada jaan ki bazi Thahri
log aae the wahan dirham-o-dinar ke sath

had se baDh kar bhi taghaful nahin achchha hota
kuchh talluq bhi to rakhte hain parastar ke sath