اردو हिंदी
Kar-e-asan ko dushwar bana jata hai | Shaahi Shayari
kar-e-asan ko dushwar bana jata hai

Ghazal

Kar-e-asan ko dushwar bana jata hai

Mohsin Asrar

;

kar-e-asan ko dushwar bana jata hai
wahima koi bhi ho kaam dikha jata hai

khulne lagte hain nigahon pe jab asrar-o-rumuz
dil mujhe le ke kahin aur chala jata hai

ghar mein rahna mera goya use manzur nahin
jab bhi aata hai naya kaam bata jata hai

sada rakhne se sada deta hai qirtas mujhe
lafz likh dun to meri sakh gira jata hai

ishq ne aisa banaya hai jahan-dar mujhe
har KHasara meri sochon mein sama jata hai

aao hum pahle talluq ko samajh len 'mohsin'
ranjishen hon to marasim ka maza jata hai