kanTe hon ya phul akele chunna hoga
hum jaisa mohtat hamesha tanha hoga
fikr o taraddud mein har dam kya ghulte rahna
hoga to bas wo hi jo kuchh hona hoga
us se kya kahna hai pahle ye to tai ho
phir sochenge kya anjam hamara hoga
jin mein kho kar hum KHud ko bhi bhul gae hain
kya hum ko bhi un aankhon ne DhunDa hoga
pathrili dharti hai ankur kya phuTenge
be-shak baadal TuT ke in par barsa hoga
teshe aur junun ki baaten bas baaten hain
kaun bhala marta hai kaun diwana hoga
meri tarah TuTe aaine mein us ne bhi
TukDe TukDe apne aap ko paya hoga
teri to 'bilqis' nirali hi baaten hain
is duniya mein kaise tera guzara hoga
Ghazal
KanTe hon ya phul akele chunna hoga
Bilqis Zafirul Hasan