kanTe chunna phul bichhana
rasta yun aasan banana
lakh jalaya us ne lekin
zinda hai phir bhi parwana
us ko apna kar lena to
ya phir us ka hi ho jaana
mashwara bhi kar lenge hum
pahle to ghar aa jaana
husn to ek din Dhal jata hai
husn pe itna kya itrana
Thokar mein duniya rakha hai
aaya jis ko Thokar khana
jab zara aankhen khulti hain
khulta hai pura mai-KHana
log gahra kar dete hain
zaKHm na apna koi dikhana

Ghazal
KanTe chunna phul bichhana
Habeeb Kaifi