kaam sab ghair-zaruri hain jo sab karte hain
aur hum kuchh nahin karte hain ghazab karte hain
aap ki nazron mein suraj ki hai jitni azmat
hum charaghon ka bhi utna hi adab karte hain
hum pe hakim ka koi hukm nahin chalta hai
hum qalandar hain shahanshah laqab karte hain
dekhiye jis ko use dhun hai masihai ki
aaj kal shahr ke bimar matab karte hain
KHud ko patthar sa bana rakkha hai kuchh logon ne
bol sakte hain magar baat hi kab karte hain
ek ek pal ko kitabon ki tarah paDhne lage
umr bhar jo na kiya hum ne wo ab karte hain

Ghazal
Kaam sab ghair-zaruri hain jo sab karte hain
Rahat Indori